Syed Aabid Ali Aabid

dil hai aaina-e-hairat se do-chaar aaj ki raat

Syed Aabid Ali Aabid

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1906-1971
dil hai ā.īna-e-hairat se do-chār aaj kī raat
ġham-e-daurāñ meñ hai aks-e-ġham-e-yār aaj kī raat
koī mansūr se jā kar ye kaho ham-nafaso
huuñ ba-ta.azīr-e-ḳhamoshī sar-e-dār aaj kī raat
ġham ke mehvar pe haiñ Thahre hue aflāk-o-nujūm
merī mahfil meñ nahīñ vaqt ko baar aaj kī raat
na makāñ aaj hai sābit na zamāñ hai sayyār
na ḳhizāñ sho.abada-ārā na bahār aaj kī raat
kabhī firdaus-e-gul-o-lāla thī jo kisht-e-ḳhayāl
us se be-sāḳhta ugte haiñ sharār aaj kī raat
bū-e-ḳhūñ aatī hai sahrā-e-tamannā se mujhe
kheltā huuñ dil-e-vahshī kā shikār aaj kī raat
tujhe mālūm hai 'ābid' ki bayāz dil par
nāḳhun-e-ġham ne kiye naqsh-o-nigār aaj kī raat
Top Urdushayar.com