kaho butoñ se ki ham tab.a saada rakhte haiñ
phir un se arz-e-vafā kā irāda rakhte haiñ
yahī ḳhatā hai ki is gīr-o-dār meñ ham log
dil-e-shagufta jabīn-e-kushāda rakhte haiñ
ḳhudā gavāh ki asnām se hai kam raġhbat
sanam-garī kī tamannā ziyāda rakhte haiñ
dukān-e-bāda-faroshāñ ke sahn meñ 'ābid'
farishte ḳhuld kā ik dar kushāda rakhte haiñ