Syed Aabid Ali Aabid

aai sahar qarib to maine paDhi ghazal

Syed Aabid Ali Aabid

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1906-1971
aa.ī sahar qarīb to maiñ ne paḌhī ġhazal
jaane lage sitāroñ ke bajte hue kañval
be-tāb hai junūñ ki ġhazal-ḳhvāniyāñ karūñ
ḳhāmosh hai ḳhirad ki nahīñ baat kā mahal
kaise diye jalā.e ġham-e-rozgār ne
kuchh aur jagmagā.e ġham-e-yār ke mahal
ab tark-e-dostī hī taqāzā hai vaqt kā
ai yār-e-chāra-sāz mirī aag meñ na jal
ai iltifāt-e-yār mujhe sochne to de
marne kā hai maqām yā jiine kā hai mahal
ham rind ḳhāk-o-ḳhūñ meñ aTe haath bhī kaTe
nikle na ai bahār tire gesuoñ ke bal
Top Urdushayar.com