din Dhalā shaam huī phuul kahīñ lahrā.e
saañp yādoñ ke mahakte hue Dasne aa.e
vo kaḌī dhuup ke din vo tapish-e-rāh-e-vafā
vo savād-e-shab-e-gesū ke ghanere saa.e
daulat-e-tab-e-suḳhan-go hai amānat us kī
jab tirī chashm-e-suḳhan-sāz talab farmā.e
justujū-e-ġham-e-daurāñ ko ḳhirad niklī thī
ki junūñ ne ġham-e-jānāñ ke ḳhazīne paa.e
sab mujhe mashvara-e-tark-e-vafā dete haiñ
un kā iimā bhī ho shāmil to maza aa jaa.e
kyā kahūñ dil ne kahāñ saiñt ke rakkhā hai use
na kabhī bhūlne pā.ūñ na mujhe yaad aa.e
maiñ ne hāfiz kī tarah tai ye kiyā hai 'ābid'
ba.ad-azīñ mai na ḳhuram be-kaf-e-bazm-ārā.e