Syed Aabid Ali Aabid

dil ka moamla nigah-e-ashna ke sath

Syed Aabid Ali Aabid

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1906-1971
dil kā mo.āmla nigah-e-āshnā ke saath
aise hai jaise rābta-e-gul sabā ke saath
dekho to pech-o-tāb kī sūrat ki mil ga.ī
shām-e-firāq bhī tirī zulf-e-dotā ke saath
ye kyā bahār hai ki dikhā.ī ga.ī mujhe
sho.aloñ kī aañch bhī gul-e-rañgīñ-qabā ke saath
ye kyā tilism hai ki sunāyā gayā mujhe
sāz-e-shikast-e-dil tirī āvāz-e-pā ke saath
ai dosto yahī hai qayāmat kī roz-e-hashr
ham bhī jagā.e jā.eñge ḳhalq-e-ḳhudā ke saath
gulshan meñ aa.ī pairahan-e-rañg ban ga.ī
vo mauj-e-ḳhūñ ki chehra-kushā thī hinā ke saath
'ābid' bayān-e-jalva-nāgāh kyā karūñ
ḳhūbī adā ke saath hai shoḳhī hayā ke saath
Top Urdushayar.com