Syed Aabid Ali Aabid

yahi tha waqf teri mahfil-e-tarab ke liye

Syed Aabid Ali Aabid

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1906-1971
yahī thā vaqf tirī mahfil-e-tarab ke liye
charāġh-e-dil ki sulagtā hai aaj sab ke liye
kabhī maiñ jur.at-e-iz.hār-e-mudda.ā to karūñ
koī javāz to ho lutf-e-be-sabab ke liye
ufuq se chāñd kī champā-kalī ubhartī hai
sajā.e jaate haiñ zevar nigār-e-shab ke liye
tire gadā ne bhī sāġhar kā nuqra.ī āñchal
kahīñ se maañg liyā duḳhtar-e-enab ke liye
tamām umr ba-faiz-e-nigāh-e-lāla-ruḳhāñ
sanad rahā huuñ ishārāt-e-chashm-o-lab ke liye
chaman se phuul ke dhoke meñ chun liye sho.ale
kaf-e-vafā ke liye dāman-e-talab ke liye
kahīñ jo pursish-e-ahvāl par vo maa.il hoñ
ki ham ne dil ko sambhālā huā hai jab ke liye
mujhe ḳhabar hai bahut se matā-e-zauq-e-nazar
dukān-e-kākul-o-ruḳhsār-o-chashm-o-lab ke liye
sitāra sub.h kā raushan thā shaam se 'ābid'
yahī thī maut harīfān-e-bazm-e-shab ke liye
Top Urdushayar.com