ye kyā tilism hai duniyā pe baar guzrī hai
vo zindagī jo sar-e-rahguzār guzrī hai
guloñ kī gum-shudagī se surāġh miltā hai
kahīñ chaman se nasīm-e-bahār guzrī hai
kahīñ sahar kā ujālā huā hai ham-nafaso
ki mauj-e-barq sar-e-shāḳh-sār guzrī hai
rahā hai ye sar-e-shorīda misl-e-shola buland
agarche mujh pe qayāmat hazār guzrī hai
ye hādisa bhī huā hai ki ishq-e-yār kī yaad
dayār-e-qalb se begāna-vār guzrī hai
unhīñ ko arz-e-vafā kā thā ishtiyāq bahut
unhīñ ko arz-e-vafā nā-gavār guzrī hai
harīm-e-shauq mahaktā hai aaj tak 'ābid'
yahāñ se nik.hat-e-gesu-e-yār guzrī hai