rañj ik talḳh haqīqat kā faqat hai mujh ko
mere ahbāb ne aañkā hī ġhalat hai mujh ko
ba.ad muddat ke gulāboñ kī mahak aa.ī hai
us ne pardes se bhejā koī ḳhat hai mujh ko
mauj-e-tūfān se begāna huā huuñ phir maiñ
phir mayassar huī āsānī-e-shat hai mujh ko
harf kī shakl meñ Dhaltī haiñ lakīreñ ḳhud se
aa ke detā koī paiġhām-e-nuqat hai mujh ko
kar diyā kund havāoñ kī namī ne jis ko
usī ḳhanjar se lagānā koī qat hai mujh ko
kunj-e-tārīk meñ yuuñ jhāñk rahā huuñ 'rāhat'
jaise darkār koī baiza-e-bat hai mujh ko