Rahat hasan

ahbab hain kyun dang mujhe hi nahin malum

Rahat hasan

1959
ahbāb haiñ kyuuñ dañg mujhe hī nahīñ ma.alūm
kis se hai mirī jañg mujhe hī nahīñ ma.alūm
tābānī-e-jazbāt meñ aa.ī hai kamī kyā
phīkā hai kyuuñ har rañg mujhe hī nahīñ ma.alūm
muddat se maiñ jo daaġh miTāne meñ lagā huuñ
kahte haiñ use zañg mujhe hī nahīñ ma.alūm
din raat yuuñ kartā hai mujhe kaun muqayyad
kyuuñ kar hai zamīñ tañg mujhe hī nahīñ ma.alūm
ab kaun mire sar ko banātā hai nishāna
kis haath meñ hai sañg mujhe hī nahīñ ma.alūm
har lafz kā mafhūm badal jaatā hai 'rāhat'
kaisī hai ye farhañg mujhe hī nahīñ ma.alūm
Top Urdushayar.com