Rahat hasan

gale pe ek KHanjar aab-dar kis ka hai

Rahat hasan

1959
gale pe ik ḳhanjar āb-dār kis kā hai
ye roz roz mirī jaañ pe vaar kis kā hai
hai kaun sāzish-e-gard-o-ġhubār ke pīchhe
pas-e-sumūm-e-junūñ regzār kis kā hai
dhamak-zada haiñ ḳhalāoñ meñ bastiyāñ kis kī
shikasta sar pe makāñ intishār kis kā hai
chamakte rañg khile naqsh ā.īna chehre
to aaj naqsh-e-nazar par ye baar kis kā hai
sarāb-o-dasht zamān-o-makān sab yaksāñ
hameñ bhī dahr meñ ab e'tibār kis kā hai
hai kaun dil kī adā-e-talab se nā-vāqif
baġhair naġhma laraztā hai taar kis kā hai
koī nahīñ hai agar daftar-e-taḳhātub meñ
to phir ye harf ye qaul-o-qarār kis kā hai
palaT ke aa.ī hai maqtal meñ zindagī 'rāhat'
faqīh-e-shahr ko ab intizār kis kā hai
Top Urdushayar.com