Rahat hasan

main dasht mein gar KHud ko muhayya nahin karta

Rahat hasan

1959
maiñ dasht meñ gar ḳhud ko muhayyā nahīñ kartā
gardish se rihā mujh ko bagūla nahīñ kartā
pahchān ko ik dil hī madad-gār bahut hai
so pesh koī aur havāla nahīñ kartā
dekhā hī nahīñ aañkh ne jis shahr ko pahle
vo bhī mirī hairat meñ izāfa nahīñ kartā
har zaḳhm kī lazzat kā parastār huuñ lekin
sairāb mujhe ye bhī nivāla nahīñ kartā
manzil se hai ye kaisī aqīdat ki safar meñ
raahī koī raste pe bharosa nahīñ kartā
ab dahr meñ aġhyār kī rasmoñ kā chalan hai
ab kaam azīzoñ kā tarīqa nahīñ kartā
kaisā hai mirī zaat kā bikhrāo ki 'rāhat'
sahrā mirī vus.at kā ahāta nahīñ kartā
Top Urdushayar.com