Rahat hasan

jo log dida-o-dil ko tabah dekhte hain

Rahat hasan

1959
jo log dīda-o-dil ko tabāh dekhte haiñ
makīn ḳhvāb ke aane kī raah dekhte haiñ
hameñ ab aañkh ke manzar kā e'tibār nahīñ
so ham ab aks nahīñ bas nigāh dekhte haiñ
ye kaisī aag lagātā hai āftāb ki ham
zamīn-o-arsh ko hote siyāh dekhte haiñ
tum apnī zaat se koī mutālba na karo
ham apne-āp se kar ke nibāh dekhte haiñ
havā ne shahr kā naqsha badal diyā shāyad
ġhubār-e-rāh meñ ham sair-gāh dekhte haiñ
barā.e-nām hai bas merā muhtamim honā
ki intizām to sab sarbarāh dekhte haiñ
maiñ sāf-go huuñ magar be-zabān lagtā huuñ
ye kis tarah se mujhe sab gavāh dekhte haiñ
kareñge ham bhī kabhī farq mīThe khāre meñ
abhī to aab kī ḳhvāhish meñ chaah dekhte haiñ
nikal ke narġha-e-qahar-o-azāb se 'rāhat'
sab apne vāste jā-e-panāh dekhte haiñ
Top Urdushayar.com