koī bhī nahīñ shahr meñ jab zaat ke bāhar
kyuuñ bhiiḌ ye rahtī hai makānāt ke bāhar
hairānī-o-mad.hoshī-o-taskīn-o-musarrat
kuchh bhī to nahīñ qasr-e-tilismāt ke bāhar
har-vaqt kī ye ḳhvāb kī aadat nahīñ achchhī
dīdār ko ra.anā.ī de zulmāt ke bāhar
āzād hai vo nafs kī tahvīl meñ 'rāhat'
aur ham haiñ giraftār havālāt ke bāhar