Rahat hasan

jab usko soch ke dekha to ye kamal hua

Rahat hasan

1959
jab us ko soch ke dekhā to ye kamāl huā
mirī luġhat kā har ik lafz be-misāl huā
vo shahr-e-ḳhvāb se guzrā to daf.atan mujh ko
haqīqatoñ ke badalne kā ehtimāl huā
numūd-e-zāt ko pahle hī raushnī kam thī
baḌhe jo saa.e to kuchh aur bhī malāl huā
thamā na girne sambhalne kā silsila yuuñ hī
maiñ apnī ḳhaak se uTThā to lā-zavāl huā
ye mo.ajiza hī bahut hai ki paikar-e-fan ke
jo koī rabt meñ aayā vo ham-ḳhayāl huā
ham apnī sāda-mizājī meñ sab se pūchhte haiñ
hamāre jaisā bhī āḳhir kisī kā haal huā
hamīñ the us ke javāboñ ke muntazir 'rāhat'
so baar baar hamīñ se koī savāl huā
Top Urdushayar.com