purānā qissa tamām karnā paḌegā us ko
na.e taqāzoñ pe kaam karnā paḌegā us ko
vo ḳhalvatoñ meñ agar kisī ko pukārtā hai
to apnā ūñchā maqām karnā paḌegā us ko
agar vo aivān-e-āshiqī se juḌā hai to phir
ḳhud apnā bhī ehtirām karnā paḌegā us ko
sab apnī apnī rivāyatoñ ko bhulā rahe haiñ
kuchh aur rasmoñ ko aam karnā paḌegā us ko
usī kī nigrāniyoñ meñ haiñ ab ye bastiyāñ bhī
yahāñ bhī kuchh din qayām karnā paḌegā us ko
vo chāhtā hai agar bulandī banī rahe to
havā ko apnā ġhulām karnā paḌegā us ko
agar nigāhoñ meñ āfiyat hai to sehn-e-dil meñ
jo kuchh hai ḳhvāboñ ke naam karnā paḌegā us ko
sunā hai 'rāhat' koī qayāmat hai aane vaalī
abhī se kuchh intizām karnā paḌegā us ko