Rahat hasan

bala ka zikr kya ye mauj bhi ghanimat hai

Rahat hasan

1959
balā kā zikr kyā ye mauj bhī ġhanīmat hai
tamāshā dekh rahe haiñ yahī ġhanīmat hai
kisī ke maal se koī ġharaz nahīñ ham ko
hamārī jeb meñ jo hai vahī ġhanīmat hai
khulī huī haiñ jo rāheñ to ye samajh lo tum
ki apne shahr kā mausam abhī ġhanīmat hai
hameñ hai faḳhr ki nisbat ke pāsdār haiñ ham
hamāre vāste har shai baḌī ġhanīmat hai
ḳhud apne-āp ko patthar batā rahe haiñ sab
nazākatoñ se haiñ vāqif sabhī ġhanīmat hai
musālahat kī tamannā huī hai to 'rāhat'
har ek shart hī ab lag rahī ġhanīmat hai
Top Urdushayar.com