Rahat hasan

motaqid is bar shayad surKH-ru hone ko hai

Rahat hasan

1959
mo'taqid is baar shāyad surḳh-rū hone ko hai
dost thā jo ab talak vo bhī adū hone ko hai
dar khule jaate haiñ gum-gashta makīnoñ kī taraf
har kisī ko apnī apnī justujū hone ko hai
parbatoñ kī shakl meñ tabdīl hotā hai dhuāñ
kyā koī aaseb mere rū-ba-rū hone ko hai
surḳhiyoñ meñ Dhaltī jaatī hai syāhī dam-ba-dam
rafta rafta saarā hī paanī lahū hone ko hai
vahm kī tā.īd kartī hai havāoñ kī namī
pyaas ke māroñ pe zāhir aabjū hone ko hai
sa.i-e-lā-hāsil se bhī hāsil huā hai vo mujhe
jis kī sab zinda-diloñ ko aarzū hone ko hai
ik zamāne ba.ad 'rāhat' hosh meñ aayā huuñ maiñ
ik zamāne ba.ad ḳhud se guftugū hone ko hai
Top Urdushayar.com