rifāqat meñ rafīqoñ kī riyā-kārī bhī shāmil hai
mirī āsāniyoñ meñ kār-e-dushvārī bhī shāmil hai
ba-juz tasvīr-e-gul ke baaġh meñ dekhūñ to kyā dekhūñ
aqīdat ke asar meñ ḳhud se be-zārī bhī shāmil hai
naqāhat kā hai ġhalba so jhukā dete haiñ sar apnā
itā.at ke amal meñ apnī lāchārī bhī shāmil hai
musalsal band āñkhoñ se manāzir dekhtā huuñ maiñ
ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ ehsās-e-bedārī bhī shāmil hai
ayaañ hote haiñ ab mujh par kamāl-o-fan ke sab jalve
ġham-e-ḳhāshāk meñ lagtā hai chiñgārī bhī shāmil hai
kabhī vo ḳhuuñ bahātā hai kabhī aañsū bahātā hai
adāvat kī adā meñ tarz-e-ġham-ḳhvārī bhī shāmil hai
samajhne sochne se hī nahīñ miltī mujhe fursat
mirī masrūfiyat meñ shaġhl-e-be-kārī bhī shāmil hai
gadāoñ ko taraste haiñ sabhī jāh-o-hasham vaale
amīrī kī atā meñ lutf-e-nādārī bhī shāmil hai
na jiitā hai na martā hai ajab insān hai 'rāhat'
na.ī bīmāriyoñ meñ ab ye bīmārī bhī shāmil hai