Rahat hasan

rah-e-safar mein gard kabhi hai kabhi nahin

Rahat hasan

1959
rāh-e-safar meñ gard kabhī hai kabhī nahīñ
dil mubtalā-e-dard kabhī hai kabhī nahīñ
hairāñ kiye haiñ ḳhalq ko jaadū kī bastiyāñ
nām-o-nishān-e-fard kabhī hai kabhī nahīñ
ḳhuuñ kī safediyoñ kā nazāra hai mustaqil
zor-e-havā-e-sard kabhī hai kabhī nahīñ
ye kaise hādsāt kī sūrat hai shahar meñ
chehroñ kā rañg zard kabhī hai kabhī nahīñ
nīlāhaToñ ko jis ne ġhazabnāk kar diyā
vo sañg-e-lājvard kabhī hai kabhī nahīñ
'rāhat' vo apnī tarz badaltā hai bārhā
lagtā mujhe bhī mard kabhī hai kabhī nahīñ
Top Urdushayar.com