tujhe hai shauq-e-zabāñ par jo qand rakhne kā
de iḳhtiyār mujhe bhī pasand rakhne kā
pukārtī haiñ mire dil kī pastiyāñ mujh ko
yahī to vaqt hai rutba buland rakhne kā
isī jihād meñ guzrī hai zindagī apnī
kiyā hai roz irāda samand rakhne kā
buland meḳh se ḳhvāboñ kī rassiyāñ bāñdho
diyā hai raat ne mauqa kamand rakhne kā
hamīñ se husn ko hai aas daad paane kī
hamīñ ko hukm hai āñkhoñ ko band rakhne kā
sabhī ġhamoñ kā uThātā huuñ ḳharch meñ 'rāhat'
ajab sila hai dil-e-dard-mañd rakhne kā