Rahat hasan

sara-e-shar mein rahna paD raha hai

Rahat hasan

1959
sarā-e-shar meñ rahnā paḌ rahā hai
qazā ke Dar meñ rahnā paḌ rahā hai
hai mere qatl ke darpai ḳhamoshī
sadā ke dar meñ rahnā paḌ rahā hai
maiñ ḳhud ko dūsroñ meñ dekhtā huuñ
so chashm-e-tar meñ rahnā paḌ rahā hai
ḳhayāl-o-ḳhvāb haiñ jis ke muāvin
use bistar meñ rahnā paḌ rahā hai
maiñ huuñ jis kā dil-o-jāñ se muḳhālif
usī lashkar meñ rahnā paḌ rahā hai
guzārā faqr par hotā hai phir bhī
panāh-e-zar meñ rahnā paḌ rahā hai
chalā hai hijratoñ kā daur jab se
zamāne-bhar meñ rahnā paḌ rahā hai
koī to laash hai mere havāle
jo murda ghar meñ rahnā paḌ rahā hai
havā ke paañv to bāhar haiñ 'rāhat'
mujhe chādar meñ rahnā paḌ rahā hai
Top Urdushayar.com