Rahat hasan

aagahi aaine talak hai kya

Rahat hasan

1959
āgahī aa.ine talak hai kyā
ḳhud ke hone meñ koī shak hai kyā
qarya qarya bhaTak rahe haiñ log
sab ko andhā kiye chamak hai kyā
muñh pe aatī haiñ an-kahī bāteñ
dil meñ baaqī abhī kasak hai kyā
andar andar se hil rahā huuñ maiñ
hotī mahsūs kuchh dhamak hai kyā
tum jo āñkhoñ ko band rakhte ho
dekh lī us kī ik jhalak hai kyā
kyuuñ nigāhoñ meñ haiñ mirī sab rañg
mere pesh-e-nazar dhanak hai kyā
hai uḌānoñ kā silsila har-sū
ab zamīñ kī tarah falak hai kyā
koī manzar bhī ab nahīñ bhātā
mustaqil aañkh meñ khaTak hai kyā
un ko aatī hai kyuuñ hayā 'rāhat'
pairahan sirf jism tak hai kyā
Top Urdushayar.com