Rahat hasan

rutba-e-taKHt se mahrum hai mansab mera

Rahat hasan

1959
rutba-e-taḳht se mahrūm hai mansab merā
sāhab-e-fahm samajhte nahīñ matlab merā
hai mire sher se ahvāl-e-zamāna zāhir
paḌh lo tum bhī ki ye shīsha hai mahaddab merā
merī bastī ko ujāle meñ dikhā kar mujh ko
qatl kartā hai koī ḳhvāb meñ har shab merā
tarjumāñ haiñ mire māhaul kī ġhazleñ merī
ye alag baat ki lahja hai mohazzab merā
shahr-e-qāzī tire fatvoñ se ġharaz kyā mujh ko
rab mirā dil mirā marzī mirī maz.hab merā
khushbū-e-sher se mahzūz huā kar 'rāhat'
ġham ke bīmār ye nusḳha hai mujarrab merā
Top Urdushayar.com