rabt meñ pahlū-e-nairañg kahāñ se aayā
sāhab-e-arz ko ye Dhañg kahāñ se aayā
ḳhushnumā aks hue ḳhaar kī sūrat kaise
aa.ine sab the to phir sañg kahāñ se aayā
gard kī zad meñ hai ḳhushbū se mahaktā āñgan
ḳhvāb meñ dahr kā āhañg kahāñ se aayā
sabz hai vādī-e-be-āb meñ gulshan merā
shab kī tasvīr meñ ye rañg kahāñ se aayā
dost dushman haiñ sabhī vaz.a pe qaa.em 'rāhat'
kyā kahūñ jiit ke maiñ jañg kahāñ se aayā