Rahat hasan

bayan-e-haal ko arz-e-talab samajhte hain

Rahat hasan

1959
bayān-e-hāl ko arz-e-talab samajhte haiñ
vo log jin kā hai da.avā ki sab samajhte haiñ
sahīh ho ke ġhalat huuñ yahī ḳhatā merī
ki maiñ jo huuñ vo mujhe log kab samajhte haiñ
maiñ jin ke vahm-o-gumāñ ko faroġh detā huuñ
mujhe haqīr vo ḳhud ke sabab samajhte haiñ
tamām aib mujhī ko dikhā.ī dete haiñ
so mere dost mujhī ko ajab samajhte haiñ
sabaq hameñ bhī milā hai koī zarūr ki ham
jo kuchh na pahle samajhte the ab samajhte haiñ
zamīñ ho ḳhushk to fasleñ nahīñ ugā kartīñ
is ek baat ko dariyā ke lab samajhte haiñ
kisī kī zaat se vāqif koī nahīñ 'rāhat'
agarche sab yahāñ nām-o-nasab samajhte haiñ
Top Urdushayar.com