is se behtar mirī tasvīr nahīñ ho saktī
zāt-e-be-aib se taqsīr nahīñ ho saktī
kuchh to hai ḳhaas asīrī meñ latāfat varna
sab ko darkār yuuñ zanjīr nahīñ ho saktī
mujh ko dhuñdlā sā koī ḳhvāb nazar aayā hai
ab sahar hone meñ tāḳhīr nahīñ ho saktī
apnī bīnā.ī se raushan rakho āñkheñ apnī
har kisī ġhaar meñ tanvīr nahīñ ho saktī
kaisī uljhan hai ki jis shai kī talab hai mujh ko
vo kisī shaḳhs kī jāgīr nahīñ ho saktī
jab qalam haath meñ aayā to ye jaanā maiñ ne
mujh se hālat merī tahrīr nahīñ ho saktī
ye bharose kī hai buniyād bhī lāzim 'rāhat'
yuuñ imārat koī ta.amīr nahīñ ho saktī