Rahat hasan

koi tara kahin mahtab se milta-julta

Rahat hasan

1959
koī taarā kahīñ mahtāb se miltā-jultā
yahī manzar hai mire ḳhvāb se miltā-jultā
ghar muzayyan hai to phir sahn bhī ḳhālī kyuuñ ho
kyuuñ nahīñ apne meñ ahbāb se miltā-jultā
rau maiñ bahtā huuñ to hotī hai ragoñ meñ halchal
jaane kyā mujh meñ hai sailāb se miltā-jultā
qatra-e-surḳh meñ jab ḳhuun kī tāsīr nahīñ
kyā hai phir jism meñ tezāb se miltā-jultā
āsmāñ mujh se chhupātā hai koī sachchā.ī
yā koī vahm hai is ḳhvāb se miltā-jultā
kis haqīqat ko chhupātī haiñ nigāheñ 'rāhat'
ret hai yā ki sarāb aab se miltā-jultā
Top Urdushayar.com