dasht ne tālib-e-gulzār kiyā hai mujh ko
merī vahshat ne gunahgār kiyā hai mujh ko
gosha-e-zāt meñ ābād hai duniyā merī
ḳhud kī hastī ne giraftār kiyā hai mujh ko
naql-o-harakat ne banāyā hai tamāshā merā
bad-havāsī ne sazā-vār kiyā hai mujh ko
ab mire kaam jo aa.e to hunar bhī kaise
dil ne shohrat kā parastār kiyā hai mujh ko
jism ke sehr se niklā to ye jaanā maiñ ne
ruuh ne sūrat-e-afkār kiyā hai mujh ko
kyā batā.ūñ ki azal se hai tamannā jis kī
us ne kis kis kā talabgār kiyā hai mujh ko
ḳhud se laḌtā huuñ to lagtā hai ki ran meñ 'rāhat'
vaqt ne qāfila-sālār kiyā hai mujh ko