Rahat hasan

KHud se nibah shaq hua hai kabhi kabhi

Rahat hasan

1959
ḳhud se nibāh shaaq huā hai kabhī kabhī
saarā vajūd chaaq huā hai kabhī kabhī
DhūñDā use to ḳhud se mulāqāt ho ga.ī
aisā bhī ittifāq huā hai kabhī kabhī
har zāviye se aks ko dekhā hai aañkh ne
har baat kā firāq huā hai kabhī kabhī
haa.il hai jo azal se mire hāl-o-qāl meñ
vo bhī ayaañ nifāq huā hai kabhī kabhī
hañste haiñ jab bhī log to lagtā hai yuuñ mujhe
mujh se bhī ye mazāq huā hai kabhī kabhī
ḳhāmoshiyoñ kī tarz se bāvar huā mujhe
dil be-hisī meñ taaq huā hai kabhī kabhī
'rāhat' hai jis kī zaat se rishta qarīb kā
vo bhī aziiz aaq huā hai kabhī kabhī
Top Urdushayar.com