Rahat hasan

libas-e-chaak mein aiwan ke aage nahin jati

Rahat hasan

1959
libās-e-chāk meñ aivān ke aage nahīñ jaatī
farāsat yuuñ hī har sultān ke aage nahīñ jaatī
maiñ tai kartā huuñ rabt-o-zabt kī sab manzileñ phir bhī
rifāqat jaan aur pahchān ke aage nahīñ jaatī
rihā.ish to sabhī kī hai isī bāzār meñ lekin
nazar hī ab mirī sāmān ke aage nahīñ jaatī
junūñ meñ regzāroñ kā irāda kar rahā huuñ maiñ
savārī koī naḳhlistān ke aage nahīñ jaatī
ye kis vīrān hujre ko basānā chāhtā huuñ maiñ
koī parchhā.īñ bhī dālān ke aage nahīñ jaatī
sunā.ī de bhī kyā tum ko ki jis ko zaat kahte ho
sadā merī usī maidān ke aage nahīñ jaatī
bayān-e-harf ko meñ tuul detā huuñ magar 'rāhat'
kahānī shauq kī vijdān ke aage nahīñ jaatī
Top Urdushayar.com