zamīn din-rāt jal rahī hai
tabhī to sho.ale ugal rahī hai
kalām karte haiñ log ḳhud se
bhaḌās dil kī nikal rahī hai
abhī se kyā faisla karūñ maiñ
abhī to duniyā badal rahī hai
qadam baḌhāne kā hai natīja
ki barf ab kuchh pighal rahī hai
vahāñ to mausam hai bārishoñ kā
nadī yahāñ kyuuñ ubal rahī hai
tum apnā shosha uThā.e rakkho
mirī tabī.at bahal rahī hai
jagī hai koī to aas mujh meñ
jo niiñd ḳhvāboñ meñ Dhal rahī hai
haTā jo malba to maiñ ne jaanā
abhī mirī saañs chal rahī hai
nafas nafas jī rahā huuñ 'rāhat'
gaḌhī gaḌhī maut Tal rahī hai