Sakhi Lakhnvi

ji jae magar na wo pari jae

Sakhi Lakhnvi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1813-1876
jī jaa.e magar na vo parī jaa.e
yārab na hamārī dil-lagī jaa.e
dil hijr meñ jaa.e yā ki jī jaa.e
jis kā jī chāhe vo abhī jaa.e
is gil kā na vasl ho na jī jaa.e
kyūñki mere dil kī be-kalī jaa.e
tum la.al-e-lab apne gar dikhāo
phir sū-e-yaman na jauharī jaa.e
is ġhuncha-dahan kī bū na laa.e
dikhlā.e na muñh sabā chalī jaa.e
sauġhāt kī tarah pesh-e-majnūñ
beḌī aur merī hathkaḌī jaa.e
sābit hai jab pahāḌ-e-vahshat
jab tak dāman hamārā sī jaa.e
ġhairoñ ko to mai pilā.e saaqī
maiñ māñgūñ to saaf sun ke pī jaa.e
ham-rāh ho parvarish-e-alī bhī
yaañ se jo karbalā 'saḳhī' jaa.e
Top Urdushayar.com