junūn kartā hai din-rāt pā.emāl mujhe
havā-e-shahr mire dasht se nikāl mujhe
banā ke bhuul gayā naqsh pichhle chehroñ kā
phir ek shakl kā aane lagā ḳhayāl mujhe
badan ke saa.e ko dil ke qarīb dekhtā huuñ
ye aaj kis se bichhaḌne kā hai malāl mujhe
chalā rahā huuñ kirā.e pe aas kī kashtī
kabhī to Dālne de pāniyoñ meñ jaal mujhe
sar-e-mahāz mayassar huī hai dildārī
mire ġhanīm batāte haiñ merā haal mujhe