aag kyā sard huī barf ko paanī kar ke
ham bhī dariyā hue mahsūs ravānī kar ke
pūchhiye kis se ki vīrān hue ghar kaise
har koī ḳhush hai yahāñ naql-e-makānī kar ke
in ishāroñ kī kanāyoñ kī haqīqat ma.alūm
ham ne alfāz ko dekhā thā ma.ānī kar ke
ik na.e din kī shurūāt huī jaatī hai
qāflo aage baḌho ḳhatm kahānī kar ke
log rakhte haiñ zarā.at se zamīneñ ḳhush-rañg
ham bhī dekheñ kisī poshāk ko dhānī kar ke
qadr-o-qīmat meñ izāfe kī talab thī jin ko
vahī masrūr haiñ ashiyā kī girānī kar ke
yuuñ hī karte rahe jiddat kā gila to 'rāhat'
har kisī chiiz ko rakh doge purānī kar ke