kaam aa.egī tirī khoj meñ zulmat aisī
kis ko ma.alūm thā ban jā.egī sūrat aisī
be-sabab paḌ ga.e haiñ jaan ke laale ab ke
be-zarūrat hī nikal aa.ī zarūrat aisī
jaane ho ret ke sahrāoñ kā kaisā aalam
jab hai is gulshan-e-sarsabz meñ vahshat aisī
saañs letā thā to dīvār girī jaatī thī
raat kuchh ḳhvāb meñ dekhī thī imārat aisī
dil ke vīrāne meñ kyuuñ hashr bapā hai 'rāhat'
roz hotī hai zamāne meñ qayāmat aisī