Rahat hasan

mauj-o-girdab pe rakhta hai safina mera

Rahat hasan

1959
mauj-o-girdāb pe rakhtā hai safīna merā
us ko manzūr na marnā hai na jiinā merā
mehr-e-afkār kī hotī hai navāzish jab bhī
arz-e-qirtās pe girtā hai pasīna merā
mujh ko aatā hai azāboñ kā izāla karnā
mom hai to kabhī faulād hai siina merā
ḳhādim-e-kūcha-e-jāñ ye hai sadāqat merī
chand anfās muqarrar hai mahīna merā
fāsle kī nahīñ qaa.el hai mohabbat merī
sāthiyo hai mire dil meñ hī madīna merā
vo nahīñ gardish-e-ayyām ke dar pe 'rāhat'
dekhnā hai use maqsūd qarīna merā
Top Urdushayar.com