mas.ale kā hal na niklā der tak
rāt-bhar jaag bhī sochā der tak
muskurā kar us ne dekhā der tak
dil hamārā aaj dhaḌkā der tak
aap aa.e haiñ to ye aayā ḳhayāl
baam par kyuuñ panchhī chahkā der tak
TūTte hī un se ummīd-e-vafā
dil hamārā phir na dhaḌkā der tak
phuul apne ras se vanchit ho gayā
phuul par bhañvrā jo baiThā der tak
khul gayā us kī vafāoñ kā bharam
de na paayā mujh ko dhokā der tak
naaz se vo zulf suljhāte rahe
chhat pe merī chāñd chamkā der tak
jis jagah insān kī izzat na ho
us jagah phir kyā Thaharnā der tak
ḳhuub royā maiñ kisī kī yaad meñ
ab kī bādal ḳhuub barsā der tak
chal diyā vo sab ko tanhā chhoḌ kar
kaash vo duniyā meñ rahtā der tak
vo chhuḌā kar apnā dāman chal diye
rah gayā maiñ haath maltā der tak
zahr se labrez sāġhar kā maza
pyaar meñ ham ne bhī chakkhā der tak
ye zamāna bevafā hai 'nūr'-jī
kab kisī kā saath degā der tak