ġham kī bhaTTī meñ ba-sad-shauq utar jā.ūñgā
tap ke kundan sā maiñ ik roz nikhar jā.ūñgā
zindagī Dhañg se maiñ kar ke basar jā.ūñgā
kaam nekī ke zamāne meñ maiñ kar jā.ūñgā
mar ke jaanā hai kahāñ mujh ko nahīñ ye ma.alūm
rah ke duniyā meñ koī kaam to kar jā.ūñgā
ġham uThā lūñgā jo baḳhshegā zamāna mujh ko
tere dāman ko to ḳhushiyoñ se maiñ bhar jā.ūñgā
dekhtā jā.ūñgā muḌ muḌ ke tumhārī jānib
chhoḌ kar jab maiñ tumhārā ye nagar jā.ūñgā
ḳhaak par girne se miT jā.egī hastī merī
ban ke aañsū tire dāman pe Thahar jā.ūñgā
laakh be-rañg ho tasvīr jahāñ kī lekin
rañg tasvīr ke ḳhāke meñ maiñ bhar jā.ūñgā
tū ne ik baar haqārat se jo dekhā ai dost
maiñ zamāne kī nigāhoñ se utar jā.ūñgā
maiñ to baḌhtā hī rahūñgā rah-e-haq meñ ai 'nūr'
kyuuñ samajhtī hai ye duniyā ki maiñ Dar jā.ūñgā