aise lamhe par hameñ qurbān ho jaanā paḌā
ek hī laġhzish meñ jab insān ho jaanā paḌā
be-niyāzāna guzarne par uThīñ jab uñgliyāñ
mujh ko apne ahd kī pahchān ho jaanā paḌā
zindagī jab nā-shanāsī kī sazā bantī ga.ī
rābtoñ kī ḳhud mujhe mīzān ho jaanā paḌā
reza reza apnā paikar ik na.ī tartīb meñ
canvas par dekh kar hairān ho jaanā paḌā
sā.atoñ kī āhanī zanjīr meñ jakḌī huī
saañs kī tartīb par qurbān ho jaanā paḌā
vo to lamhoñ ke sisakte dā.eroñ meñ qaid hai
jis ko apne aap se anjān ho jaanā paḌā
ik pahelī kī tarah nā-faham the ham bhī 'zahīr'
aap kī ḳhātir magar āsān ho jaanā paḌā