har aadmī ko ḳhvāb dikhānā muhāl hai
sho.aloñ meñ jaise phuul khilānā muhāl hai
kāġhaz kī naav bhī hai khilaune bhī haiñ bahut
bachpan se phir bhī haath milānā muhāl hai
insāñ kī shakl hī meñ darinde bhī haiñ magar
har aks ā.īne meñ dikhānā muhāl hai
mushkil nahīñ utārnā sūraj ko thaal meñ
lekin charāġh us se jalānā muhāl hai
ik baar ḳhud jo lafzoñ ke pinjre meñ aa gayā
us tā.ir-e-navā ko uḌānā muhāl hai
apne lahū kī bheñT chaḌhāne ke ba.ad bhī
qadroñ kī har fasīl tak aanā muhāl hai
tā-umr apnī fikr o riyāzat ke bāvajūd
ḳhud ko kisī sazā se bachānā muhāl hai