Zaheer Ghazipuri

kya dua-e-farsuda harf-e-be-asar mangun

Zaheer Ghazipuri

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1938
kyā duā-e-farsūda harf-e-be-asar māñgūñ
tishnagī meñ jiine kā ab koī hunar māñgūñ
dhuup dhuup chal kar bhī jab thake na ham-rāhī
kaise apnī ḳhātir maiñ sāya-e-shajar māñgūñ
ā.ina-navāzī se kuchh nahīñ huā hāsil
ḳhud bane jo ā.īna ab vahī hunar māñgūñ
ik taraf ta.assub hai ik taraf riyā-kārī
aisī be-panāhī meñ kyā sukūñ kā ghar māñgūñ
merī zindagī meñ jo baT na jaa.e ḳhānoñ meñ
mil sake to maiñ aisā koī bām-o-dar māñgūñ
lamha lamha tezī se ab zamīñ khisaktī hai
ḳhud safar kā aalam hai kyā koī safar māñgūñ
be-talab hī detā hai jab 'zahīr' vo sab kuchh
kis liye maiñ phir us se jins-e-mo'atabar māñgūñ
Top Urdushayar.com