maiñ apne-āp se ġhāfil na yuuñ huā hotā
mire bhī paas agar koī aa.ina hotā
zarā to soch kar itnā hī kar liyā hotā
mujhe kitāb samajh kar hī paḌh liyā hotā
tamām-umr faqat ek aarzū hī rahī
kiyā thā pyaar to phir TuuT kar kiyā hotā
ye aur baat ki maiñ tujh se duur huuñ lekin
maiñ tere paas bhī hotā bhalā to kyā hotā
papīhā sāvanoñ meñ yuuñ pukārtā na kabhī
agar tū chāñdnī rātoñ meñ mil gayā hotā
mirī bisāt ke baare meñ pūchhne vaale
kisī faqīr kā chehra hī paḌh liyā hotā
karūñ to kis se karūñ maiñ gilā jahālat kā
ye aarzū thī ki maiñ bhī paḌhā-likhā hotā
khañDar-zamīñ pe basā letā bastiyāñ vo bhī
agar vo vaqt se pahle na mar gayā hotā
bharī bharī kisī mahfil meñ dekh kar us ko
maiñ apne jism ke andar hī chhup gayā hotā
mire qalam se Tapaktā huā lahū 'rizvī'
kisī kī aañkh kā kājal hī ban gayā hotā