Hasan Rizvi

na wo iqrar karta hai na wo inkar karta hai

Hasan Rizvi

Ambala, Haryana, India

1946-2002
na vo iqrār kartā hai na vo inkār kartā hai
hameñ phir bhī gumāñ hai vo hamīñ se pyaar kartā hai
maiñ us ke kis sitam kī surḳhiyāñ aḳhbār meñ dekhūñ
vo zālim hai magar har zulm se inkār kartā hai
muñDeroñ se koī mānūs sī āvāz aatī hai
koī to yaad ham ko bhī pas-e-dīvār kartā hai
ye us ke pyaar kī bāteñ faqat qisse purāne haiñ
bhalā kachche ghaḌe par kaun dariyā paar kartā hai
hameñ ye dukh ki vo aksar ka.ī mausam nahīñ miltā
magar milne kā vaada ham se vo har baar kartā hai
'hassan' rātoñ ko jab sab log mīThī niind sote haiñ
to ik ḳhvāb-āshnā chehra hameñ bedār kartā hai
Top Urdushayar.com