anīs-e-jāñ haiñ abhī tak nishāniyāñ us kī
bhulā.e bhuul na paa.e kahāniyāñ us kī
har ek lahje meñ shāmil hai zā.iqa us kā
sadā sadā meñ haiñ gauhar-fishāniyāñ us kī
kisī ko maar gayā is kā tund-o-tez mizāj
hameñ to maar ga.iiñ qadr-dāniyāñ us kī
zarā sī baat pe us kā simaT simaT jaanā
vo baat baat pe nazrāñ jhukāniyāñ us kī
kiye haiñ jab bhī taqāze na.e na.e us se
sunī haiñ phir vahī bātāñ purāniyāñ us kī
kisī kī baat pe us kā mahak mahak uThnā
vo mere zikr pe kuchh bad-gumāniyāñ us kī
nazar meñ husn kisī kā 'hasan' samātā nahīñ
ki ham ne dekhī haiñ uThtī javāniyāñ us kī