Hasan Rizvi

munh apni riwayat se phera nahin karte

Hasan Rizvi

Ambala, Haryana, India

1946-2002
muñh apnī rivāyāt se pherā nahīñ karte
dushman ko achānak kabhī gherā nahīñ karte
dīvār ke pīchhe koī rahzan na chhupā ho
is vāste ham ghar meñ añdherā nahīñ karte
jis peḌ kī chhāñv bhī lage dhuup kī sūrat
us peḌ pe panchhī bhī baserā nahīñ karte
āñkhoñ se na paḌh le koī chehre kī udāsī
us Dar se kabhī zikr vo merā nahīñ karte
bas yūñhī hameñ yaad to aa jaatā hai varna
dānista kabhī tazkira terā nahīñ karte
ham sīñchte haiñ kisht-e-sahar apne lahū se
māñge hue sūraj se saverā nahīñ karte
lahrāte haiñ shānoñ pe 'hasan' zulf vo kam kam
saaya to vo karte haiñ ghanerā nahīñ karte
Top Urdushayar.com