Hasan Rizvi

kabhi aabaad karta hai kabhi barbaad karta hai

Hasan Rizvi

Ambala, Haryana, India

1946-2002
kabhī ābād kartā hai kabhī barbād kartā hai
sitam har roz hī vo ik nayā ījād kartā hai
ham us kī har adā par roz par phailā.e aate haiñ
nazar ke jaal meñ pāband jo sayyād kartā hai
vo kal bhī mo'atabar thā aaj bhī rahbar hamārā hai
vo dushman jo vatan kī khokhlī buniyād kartā hai
usī ke ishq meñ jalnā mirī taqdīr Thahrī hai
mohabbat kī na.ī jo bastiyāñ ābād kartā hai
maiñ us ke pyaar ke dhāgoñ se apnī umr buntā huuñ
jo merā naam le le kar mujhe barbād kartā hai
tazād-e-ishq kā ye khel bhī kitnā anokhā hai
use ham bhuul jaate haiñ jo ham ko yaad kartā hai
zamāna ho gayā lekin ḳhabar lene nahīñ aayā
jo panchhī roz mere naam par āzād kartā hai
ajab vo shaḳhs hai us kī mohabbat bhī nirālī hai
jo pahle qaid kar ke ba.ad meñ āzād kartā hai
maiñ ik muddat se us ke pyaar kī ḳhushbū meñ jiitā huuñ
'hasan' misl-e-havā jo roz mujh ko shaad kartā hai
Top Urdushayar.com