is darja merī zaat se us ko hasad huā
jo bhī savāl maiñ ne kiyā mustarad huā
us ne hī dī sazā mujhe sahrā kī dhuup meñ
mere badan kī chhāñv se jo nā-balad huā
aisī chalī havā ki har ik shāḳh jal ga.ī
vo peḌ jo harā thā ġhamoñ kī sanad huā
socheñ haiñ ḳhvāb-ḳhvāb to tahrīr āb-āb
ham kyā kaheñ ki kaun yahāñ nek-o-bad huā
us kī hī aarzū meñ ye chehre udaas haiñ
vo aa.ina ki jis kā taqāzā ashad huā
jis ne sadāqatoñ ko lahū se kiyā raqam
us shaḳhs kā har ek suḳhan mustanad huā
merā sitārā us ke sitāre se yuuñ milā
merā aur us kā naam 'hasan' ham-adad huā