Hasan Rizvi

phir nae KHwab bunen phir nai rangat chahen

Hasan Rizvi

Ambala, Haryana, India

1946-2002
phir na.e ḳhvāb buneñ phir na.ī rañgat chāheñ
zinda rahne ke liye phir koī sūrat chāheñ
na.e mausam meñ kareñ phir se koī ahd-e-vafā
ishq karne ke liye aur bhī shiddat chāheñ
ek vo haiñ ki nazar bhar ke na dekheñ ham ko
ek ham haiñ ki faqat un kī hī sūrat chāheñ
baat sunñe ke liye hausla dil meñ rakkheñ
baat kahne ke liye harf-e-sadāqat chāheñ
un ko paane ke liye tesha-e-farhād baneñ
qais banñe ke liye qais sī vahshat chāheñ
saañs qurbān kareñ des pe ik din ham bhī
aisī taqdīr mile aisī sa.ādat chāheñ
ham mileñ aise ki joñ rañg mile paanī meñ
un kī qurbat meñ 'hasan' aisī rifāqat chāheñ
Top Urdushayar.com