ga.ī rutoñ ko bhī yaad rakhnā na.ī rutoñ ke bhī baab paḌhnā
gulāb-chehroñ ne jo likhī hai tamāzatoñ kī kitāb paḌhnā
tamām rañgoñ kī ek rañgat tamām mausam kī ek nig.hat
tamām chehre hasīn likhnā tamām āñkheñ sarāb paḌhnā
har ek āñgan ḳhamosh pahre har ek lab par sukūt taarī
hamāre ghar ghar jo TūTte haiñ qayāmatoñ ke azaab paḌhnā
khulī fazāoñ meñ par-kushā.ī mire lahū kā ḳhamīr Thahrī
magar mire un kaTe paroñ meñ uḌaan ke iztirāb paḌhnā
mire ḳhayāloñ meñ aaj bhī haiñ vo bāñkpan kī mahaktī rāteñ
kisī kī āñkhoñ se jaam piinā kisī badan ke gulāb paḌhnā
bas ek rasta hai guftugū kā bas ek sūrat hai rābte kī
ḳhatoñ meñ un se savāl karnā ḳhatoñ meñ un ke javāb paḌhnā
'hasan' hamārī udaas āñkheñ kisī kī āñkhoñ se kah rahī haiñ
jo ham ne tum ne kabhī bune the visāl-lamhoñ ke ḳhvāb paḌhnā