Hasan Rizvi

kabhi sham-e-hijr guzarte kabhi zulf-e-yar sanwarte

Hasan Rizvi

Ambala, Haryana, India

1946-2002
kabhī shām-e-hijr guzārte kabhī zulf-e-yār sañvārte
kaTī umr apnī qafas qafas tirī ḳhushbuoñ ko pukārte
na vo mah-jabīnoñ kī Toliyāñ na vo rañg rañg kī boliyāñ
na mohabbatoñ kī vo bāziyāñ kabhī jīt.te kabhī hārte
vo jo ārzūoñ ke ḳhvāb the vo ḳhayāl the vo sarāb the
sar-e-dasht ek bhī gul na thā jise āñsuoñ se sañvārte
thā jo ek lamha visāl kā vo riyāz thā ka.ī saal kā
vahī ek pal meñ guzar gayā jise umr guzrī pukārte
the jo jaan se bhī azīz-tar rahe umr bhar vahī be-ḳhabar
thī ye aarzū mire chārā-gar mirī naav paar utārte
nahīñ lab pe koī savāl thā mirā dil tamām malāl thā
maiñ ḳhamosh dar pe khaḌā rahā rahe vo bhī gesū sañvārte
Top Urdushayar.com